No Products in the Cart
Weddings have become a grand festival in Pakistan where the entire family comes together, celebrates together & makes tons of new memories for everyone to cherish over the years. Ye to hogayi emotional aspect of a wedding.
Ab aate hain actual realities k uper. Shadi se pehle beti ko tayyar karna hai k wo naye ghar mei apni jaga kaise banaye, susral walon ka dil kaise jeetay (Jeeto Pakistan wali strategy yahan kaam nhi aani 😛) aur maze maze k khanon aur gol rotiyon se kaise sabki chaheeti ban jaye. Kaam thora mushkil hai but aapne ghabrana nhi hai.
Isse pehle aap puchen k kaise? Hum batate hain…
Maa baap apni betiyon ko naseehaton aur achi baton k elawa agar ek addad Magic Broom bhi deden to apki nanhi pari ko ghar ki safai mei koi pareshani nhi hogi.
Magic Broom ek halka phulka vaccum cleaner hai jo papa ki pari k liye jaadu ki charhi jaisa kaam karega. Pure ghar ki safayi, corners mei chupe mail aur baqi mushkil jagahon ki safayi mei ye magic broom apki beti ka saathi banega aur saath nibhayega.
PS: Dil mei chupe mail ki safayi k liye Khuda se rujoo karen
Ye hum sab ne dekho hoga k love marriage ki surat mei Larke ki Khushi is inversely proportional to usk ghar walon ki Khushi. Isiliye Dulhan aur usk tabar samait dulha khud bhi nervous rehta hai k kaise uski hone wali uski maa ka dil jeet le.
Agar aap is pareshani se dochar hain to iska hull asaan hai. Maa ka dil jeetna hai to apni hone wali ko samjhana hai k
Square Box (Pizza wala nhi) & Round roti is the way to go. 🙈
Duniye k naqshon se gol roti tak ka ye safar tamam aur asaan hoga roti maker k sang. Jo na sirf jhatpat gol phulke daalne mei apki begum ki help karega balke apki maa k dil ko bhi moh lega.
Khala aur bhanji ka Rishta bara hi gehra aur mazboot hota hai… Beti ki rukhsati jitni maa k liye mushkil hoti hai utni hai khala k liye jo maa ban kar apni bhanjiyon per pyaar lutati hai… Agar aap chahti hain apki pyari bhanji no. 1 apne susral ki bahu no. 1 ban jaye to uski nayi zindagi ko asaan banana k liye tadbeer karni paregi..
Taweez aur wazeefon wali nhi, balke ek aise saathi ki jo kitchen mei ek smart assistant ban kar apki bhanji ka hath battaye… Westpoint ka Robomax Food Processor se behtar choice koi aur ho hi nhi sakti…kaatna, cheelna, qeema banana (ghar walon ka nhi) sab mei furr furr apki bhanji ki help karega….
Sab k man pasand khane banana usk liye asaan hojayenga…chahe wo dewar k liye Banana Smoothie ho ya nand k liye Strawberry Ice cream, minton mei sab tayyar hojayega.
Bhale hi bhai ki beti ne apk betay ko qubool hai qubool hai nahi kaha, lekin Rishta to gehra hai…Shadi mei bhatiji ko phopho ne laad aur duaon k elawa kia dia, sabko aayega iska khayal…to q na sab k mou kiye jayen band aur dia jaye bhatiji ko oven…
Nahi nahi hum wo bare wale, aag phukne wale oven ki baat nhi kar rhe…Hum to latest technology wale, smart aur kam jaga lene wale Oven Toasters ki baat kar rhe hain…Jis mei tandoori chicken, seekh kebab, pizza, cake aur bread bana kar apki bhatiji apne susraliyon se daad wasoolegi aur ap apne bhai se…
Mamu, mami to import kark le aaye Canada se per bhanji k liye tohfa laana bhol gaye….Koi baat nahi, westpoint k hairdryer aur hair straightener kisi imported brand se kam nahi.
Apki bhanj shadi k baad dawaton mei ache ache hairstyle bana kar jayegi to apka khoon sair hoga aur behn bhi apki choice per naaz karegi.
PS: Mami k hawale se nhi, tohfe k hawale se 😛
Shadi k bad sabse ziada bhai behn yaad aate hain…q na aapki pyari behn ko jo rukhsat hokar jarhi hai usse koi aisa tohfa den jo usse apki yaad dilaye….Westpoint k rechargeable fan loadshedding mei apki pyari behn ko apki yaad dilayenge…
Fan ki thandi hawaon mei wo bachpan mei saath guzare lamho ko yaad karegi aur susral mei maike ka ehsaas usse akelepun se bachayega.
Chachi chahe hon jitni fit, Dadi ne hamesha samjha hai unhe family k liye unfit.
Ajkal k halat mei, sehat ki fikar aur fit rehne ka shugal dono hi zaruri hain. Isliye baqi koi samjhe na samjhe, aap apni pyari bhatiji k liye wedding gift mei Air Fryer choose kijiye.
Isse use karte huwe apki pyari bhatiji banayegi fried foods without any oil.
Taste per compromise nahi, dulhe miyan ka pait bahir nahi
Jee to ye the kuch wedding gifts k idea jo aapki pyari beti, behn, bhanji & bhatiji ko apne naye ghar mei ba-asaani settle hone mei help karenge. Hamare paas isk elawa bhi bohat saare different products available hain. Check kijiye aur befikar hokar kharidye.
Lockdown mai ghar bethe shopping hui asaan
Order karo directly website se, baat tu meri maan!!