No Products in the Cart
Humne aksar dekha hai k maaon ki khidmat aur unki qurbaniyon ko to hum hamesha sarhate hain lekin baap ki koshishon ko bhool jate hain…Ek family ko banane mei maa aur baap dono ka role hota hai…lekin baap ki khamosh qurbaniyon aur begarz mohabat ko samajhne aur appreciate karne mei hum q pechay reh jate hain. Westpoint believes in celebrating fatherhood….Isliye is Father’s Day per hum baat karenge hamari society mei mujood different aqsaam k abbaon k bare mei aur aap kaise unk sath is din ko celebrate karsakte hain…Shayd hamara tajziya thora uper nechay ho but aap samajh jayenge k aapk abba huzoor kis group mei shamil hain…
Army k General ki tara inhen har sawal k jawab mei “G” sunna pasand hota hai…Q k ye monarchy k hami hain, tabdeeli or democracy k nahi 😋
Ink ghar aane se pehle to bache Azaan Sami Khan ka “ Bewafa si thori tu, but pyari bhi thi tu” aur Abdullah Siddiqui ka “Give it up for the kingdom” enjoy kar sakte hain lekin ink aane k baad “Wohi Khuda Hai” per switch laazmi hai…bhale atif ne cover kia ho original to Nusrat Fateh Ali Khan Sb ka hai jo abba g k pasandeeda hain…
Ammi har roz Abba G ki ammad per bachon k din ki report paish karti hain…isliye Abba G k aane se pehle bache ammi se apne tamam hone wale gunahon ki talafi k liye mandwali (Agar aapne bollywood ki gangster movies dekhi hain to ye lafz samajhne mei asaani hogi, warna google karlen) kar rhe hote hain…Q k dudh dahi k liye do extra chakar ki commitment abba g ki Adalat mei paish hone se asaan hota hai…
Abba G ko khush karna asaan to nahi lekin na mumkin bhi nhi …
Unk liye Father’s Day per tohfa lene k liye kuch cheezein ka khayal rakhen jaise k
In nuqaat ko madd-e-nazar rakhte huwe hum aapko ye salah dete hain k Abba G k liye Parkar ka pen, ek qeemti watch ya leather wallet/keychain behtareen tohfe hain…timely, useful aur durable jaise Abba G khud hote hain..
*Disclaimer: Agar Father’s Day se pehle Result Day aa chuka ho aura ap Abba G se social distancing practice kar rhe hon to usse continue rakhen…Tohfa ghar k dosre afraad k zariye bhejen..Brand will not be held responsible for any unforeseen punishments given due to your previous actions.
2nd category k fathers are walking the space between traditional dads & super modern ones. Ye Abba G k muqaable mei apne bachon ki life mei ziada involved hote hain…Inhen pata hota hai k ink konse bache konsi class mei parh rhe hain..bachon ki favorite ice cream konsi hai aur bache konse mall ki rides ziada pasand karte hain…Although ye bachon ki emotional needs ko samajhne mei kamyaab nhi hopayen hain aur bachon k rone aur tantrums per bachon ki amma ko yaad karlete hain…but overall it’s a definite improvement from Abba G who fails to recognize kids as individual human beings 🤓
Abbu k liye tohfa lena Abba G k muqaable mei definitely asaan hoga..Hair trimmers and grooming kits are superb choices q k inhen basement grooming ka showk hota hai (basement grooming: n; type of grooming that is done consistently in the bathroom but kept a secret to maintain societal expectations & appearances)
Fitness ki taraf inka interest ensure karta hai k inka pait inse pehle duniya mei qadam na rakhle…Isliye weighing scales ka tohfa is also a good choice.
These are the modern day fathers jinhen shayd maaon se ziada bache k eating habits, allergies, medicines, napping times, pooping times k bare mei pata hota hai…They are super involved and make equal contribution in raising the family….pops apni betiyon ki braids bhi banate hain aur unk sath tea parties bhi organize karte hain (Kia kisiko chai yaad arhi hai)….all in all ye “who the kids run after challenge?” k definite winners hote hain…
Pops love to cook hearty meals for their families too…so aap unko westpoint k bohat hi amazing kitchen appliances ki range mei se bhi cheezein gift karsakte hain as they would love a handy blender or even the all-in-one food processor too…
Hamara magic broom bhi ek acha option hai because ye pops ko apni gaari maintain karne aur ghar mei begum ki absence mei huwi bachon k sath waardat se nipatne mei bhi help karta hai…all in all pops ka behtareen saathi!
Hum umeed karte hain k as a society we start celebrating fatherhood aur hum baap ki shaksiyat ko wo bhi woi recognition de saken jo hum maaon ko dete hain. Hamare sathe apna Father’s Day ka experience share kijiye.